KHuda-e-bartar Ne Aasman Ko Zamin Par Mehrban Kiya Hai
KHuda-e-bartar ne aasman ko zamin par mehrban kiya hai
magar mere KHwab ke nagar ko charagh ne KHush-guman kiya hai
suno ki main ne dhari hai sath-e-rawan pe ek Dolti imarat
aur ek sham-e-tarab ko shahr-e-malal ka pasban kiya hai
mujhe yaqin hai ye subh-e-nau bhi mere sitare ka sath degi
ki main ne ek ism ki madad se ghubar ko aasman kiya hai
ye sach hai meri sada ne raushan kiye hain mehrab par sitare
magar meri be-qarar aankhon ne aaine ka ziyan kiya hai
nigah-e-nam-nak ko lahu ne kiya hai majbur dekhne par
aur ek rabt-e-KHafi ko rasm-e-mughairat ne jawan kiya hai
kahin nahin hai masafat-e-umr mein kisi KHwab ka paDaw
so main ne is be-kanar sahra pe abr ka saeban kiya hai
sitar-e-KHwab se bhi baDh kar ye kaun be-mehr hai ki jis ne
charagh aur aaine ko apne wajud ka raaz-dan kiya hai
(1160) Peoples Rate This