Hua Raushan Dam-e-KHurshid Se Phir Rang Pani Ka
hua raushan dam-e-KHurshid se phir rang pani ka
damak uTTha hai mere aaine par zang pani ka
muqayyad rang khilte hon kisi billor se jaise
khula is tarah mere KHwab par arzang pani ka
kisi anjaan KHushbu se tabiat sair hai us ki
agarche qafiya kuchh rose se hai tang pani ka
satata hai jo dasht-e-na-muradi ke asiron ko
wo tara us hasin ke samne hai dang pani ka
bahut hi yaad aata hai koi bachhDa hua mujh ko
kabhi jab samna karta hun shoKH-o-shang pani ka
abhi fursat nahin hai kar-e-duniya mein ulajhne ki
magar tabdil kar sakta hun main bhi Dhang pani ka
bahut din se main 'sajid' darmiyan hun apne pyaron ke
ki ThanDa paD chuka hai ab mahaz-e-jang pani ka
(1020) Peoples Rate This