Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c58ceca170f366e514a83b19eae11695, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Shama Ki Surat Mein Manzur Kiya Jaun - Ghulam Husain Sajid Poetry In English - Darsaal

Ek Shama Ki Surat Mein Manzur Kiya Jaun

ek shama ki surat mein manzur kiya jaun

ek ghar ki hifazat par mamur kiya jaun

apne se bichhaDne ki kuchh fikr nahin lekin

aisa na ho us se bhi ab dur kiya jaun

ek yaad se mas ho kar zanjir pighal jae

ek gul ki mohabbat se maKHmur kiya jaun

aisa na ho duniya ki wusat se nikalte hi

apne mein simaTne par majbur kiya jaun

ai raat agar main bhi ek tera sitara hun

suraj ke nikalte hi be-nur kiya jaun

aisa ho ki ek lamha meri bhi gawahi de

aisa ho ki ek dil ka dastur kiya jaun

(1206) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Shama Ki Surat Mein Manzur Kiya Jaun In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Ek Shama Ki Surat Mein Manzur Kiya Jaun is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Ek Shama Ki Surat Mein Manzur Kiya Jaun for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Ek Shama Ki Surat Mein Manzur Kiya Jaun in PDF.