Apne Apne Lahu Ki Udasi Liye Sari Galiyon Se Bachche PalaT Aaenge
apne apne lahu ki udasi liye sari galiyon se bachche palaT aaenge
dhup ki garm chadar simaTte hi phir ye sunahri parinde palaT aaenge
sham aai hai aur saaton ke qadam paniyon ki rawani mein rukne lage
kaun kahta hai in baadalon se pare aasman par sitare palaT aaenge
ye dariche isi tarah raushan rahen aur gulabon ki KHushbu salamat rahe
phir isi chhanw mein sans lene ko hum apne apne gharon se palaT aaenge
hum musafir hain gard-e-safar hain magar ai shab-e-hijr hum koi bachche nahin
jo abhi aansuon mein naha kar gae aur abhi muskuraate palaT aaenge
phir unhi zard peDon ke nange badan shoala-e-naKHl se rakh hone lage
main to samjha tha mausam badalte hi phir Daliyon par wo patte palaT aaenge
ye safine jo ek lahr ke waste apne apne bahaw mein bahne lage
ek adhuri masafat ki taswir mein phir koi rang bharne palaT aaenge
ek din yaad aaunga 'sajid' use umr ki be-karani mein main bhi kahin
sham aaegi aur mere aangan mein bhi in daraKHton ke sae palaT aaenge
(1131) Peoples Rate This