Aaj Aaine Mein Jo Kuchh Bhi Nazar Aata Hai
aaj aaine mein jo kuchh bhi nazar aata hai
us ke hone pe yaqin bar-e-digar aata hai
zehn o dil karta hun jab ranj-e-jahan se KHali
koi be-tarah meri ruh mein dar aata hai
guftugu karte hue jate hain phulon ke giroh
aur chupke se daraKHton pe samar aata hai
bach nikalne pe mere KHush nahin wo jaan-e-bahaar
koi ilzam mukarrar mere sar aata hai
lauT jaane ki ijazat nahin dunga us ko
koi ab mere taaqub mein agar aata hai
meri aanhken bhi mayassar nahin aatin mujh ko
jab mulaqat ko wo KHwab-e-sahar aata hai
meri qismat hai ye aawara-KHirami 'sajid'
dasht ko rah nikalti hai na ghar aata hai
(1386) Peoples Rate This