Aaine Mein Aks Khilta Hai Gul-e-hairat Nahin
aaine mein aks khilta hai gul-e-hairat nahin
log sach kahte hain aankhon si koi neamat nahin
ab bahar-surat sar-e-maidan utarna hai mujhe
kar-zar-e-ishq se paspai ki surat nahin
us ke hone se hui hai apne hone ki KHabar
koi dushman se ziyaada laeq-e-izzat nahin
sair karna chahta hun main jahan-abaad ki
aur ruk kar dekh lene ki mujhe fursat nahin
ishq par faez hun auron ki tarah lekin mujhe
wasl ka lapka nahin hai hijr se wahshat nahin
raat wo aansu bahae hain ki mere qalb par
subh ka aaghosh wa karna meri ujrat nahin
jis qadar mahmez karta hun main 'sajid' waqt ko
us qadar be-sabr rahne ki use aadat nahin
(1300) Peoples Rate This