Zist Ka Khaali KaTora Aap Hi Bhar Jaega
zist ka KHali kaTora aap hi bhar jaega
apne hi jaisa kisi din wo mujhe kar jaega
shahr mein koi na rah paega benam-o-nishan
jis taraf shishe ki yurish hogi patthar jaega
naddiyan ab bhagti phirti hain sahra ki taraf
ab to dariya ke taaqub mein samundar jaega
kho chuke hain log apne apne chehron ka waqar
jo bhi jaega tera ham-shakl ban kar jaega
wo utarwa lega honTon se libas-e-KHamushi
wo yahan koi na koi gul khila kar jaega
main hun apne daur ke ek sahab-e-fan ka kamal
aane wala mujh pe do aansu baha kar jaega
jitni duri se sada dete hain mujh ko wo 'ayaz'
us bulandi par kahan mera muqaddar jaega
(847) Peoples Rate This