Fasil-e-jism Ki Unchai Se Utar Jaen
fasil-e-jism ki unchai se utar jaen
to is KHarabe se hum log phir kidhar jaen
hawa batati hai guzrega karwan koi
kuchh aur der isi rah par Thahar jaen
tamam din to lahu chaTta raha suraj
hui hai sham chalo apne apne ghar jaen
kabhi to koi lahu ke diye jalaega
chalo nishan-e-qadam apna chhoD kar jaen
abhi sada na do kuchh der aur suraj ko
ye jitni sukhi hui naddiyan hain bhar jaen
ye shash-jihat to bas ek naqsh-e-pa ka waqfa hai
tumhin batao kahan aa ke hum Thahar jaen
'ayaz' hum ko na apna saki kabhi duniya
wahi sada hai taaqub mein hum jidhar jaen
(864) Peoples Rate This