Maqsud-e-ulfat
kya mere husn-e-dil-awez pe tu marta hai
shoala-rui pe meri jaan fida karta hai
ye agar sach hai to ja mujh se mohabbat mat kar
nigah-e-ishq ruKH-e-mahr-e-jahan-tab pe Dal
husn-e-be-misl ko jis ke na ajal hai na zawal
kam-sini par meri mail hai tabiat teri
husn-e-nau-KHez se wabasta hai ulfat teri
ye agar sach hai to ja mujh se mohabbat mat kar
teri ulfat ke hai qabil ruKH-e-zeba-e-bahaar
jis ke anmol jawahar ka nahin koi shumar
chahta hai mujhe tu kya meri hashmat ke liye
dil hai bekal tera mere zar-o-daulat ke liye
ye agar sach hai to ja mujh se mohabbat mat kar
chahiye tujh ko kare bahr-e-guhar-KHez se pyar
jis ke anmol jawahar ka nahin koi shumar
pyar mujh se hai tujhe kya meri ulfat ke liye
dil hai parwana tera sham-e-mohabbat ke liye
ye agar sach hai to kar mujh se mohabbat pyare
behtar az mehr-o-bahaar-e-dil-e-shaida mera
bahr mein bhi nahin aisa guhar-e-mehr-o-wafa
(850) Peoples Rate This