Phir Wahi Hum Hain KHayal-e-ruKH-e-zeba Hai Wahi
phir wahi hum hain KHayal-e-ruKH-e-zeba hai wahi
sar-e-shorida wahi ishq ka sauda hai wahi
dana-o-dam sambhaala mere sayyaad ne phir
apni gardan hai wahi ishq ka phanda hai wahi
phir lagi rahne tasawwur mein wo mizhgan-e-daraaz
rag-e-jaan mein KHalish-e-KHar-e-tamanna hai wahi
phir laga rahne wahi silsila-e-naz-o-niyaz
jalwa-e-husn wahi zauq-e-tamasha hai wahi
phir hua hum ko dil-o-din ka bachana mushkil
nigah-e-naz ka phir hum se taqaza hai wahi
naz ne phir kiya aaghaz wo andaz-e-niyaz
husn-e-jaan-soz ko phir soz ka dawa hai wahi
mahw-e-did-e-chaman-e-shauq hai phir dida-e-shauq
gul-e-shadab wahi bulbul-e-shaida hai wahi
phir chamak uTThi wo kajlai hui chingari
raKHt-e-hasti hai wahi ishq ka shoala hai wahi
aarzu ji uThi phir pyar jo us but ne kiya
phir lab-e-yar mein ejaz-e-masiha hai wahi
pas-e-namus ne phir ruKHsat-e-raftan chahi
shohrat-e-husn wahi ulfat-e-ruswa hai wahi
phir hui laila-o-majnun ki hikayat taza
un ka aalam wahi 'nairang' ka naqsha hai wahi
(873) Peoples Rate This