Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_526a484fbe88c1e38b2ed81ad1e04021, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Pahlu Se Jo Nikle Wo Meri Jaan Ho Kar - Ghulam Bhik Nairang Poetry In English - Darsaal

Mere Pahlu Se Jo Nikle Wo Meri Jaan Ho Kar

mere pahlu se jo nikle wo meri jaan ho kar

rah gaya shauq dil-e-zar mein arman ho kar

zist do roza hai hans-khel ke kaTo is ko

gul ne ye raaz bataya mujhe KHandan ho kar

ashk-e-shadi hai ye kuchh muzhda saba lai hai

shabnam-aluda hua phul jo KHandan ho kar

zarra-e-wadi-e-ulfat pe munasib hai nigah

falak-e-husn pe KHurshid-e-daraKHshan ho kar

shoKHiyan us nigah-e-zer-e-mizha ki mat puchh

dil-e-ashiq mein khubi jati hai paikan ho kar

shiddat-e-shauq-e-shahadat ka kahun kya aalam

tegh-e-qatil paDi sar pe mere ehsan ho kar

ab to wo KHabt mere ishq ko kah kar dekhen

KHud hi aaine ko takne lage hairan ho kar

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Pahlu Se Jo Nikle Wo Meri Jaan Ho Kar In English By Famous Poet Ghulam Bhik Nairang. Mere Pahlu Se Jo Nikle Wo Meri Jaan Ho Kar is written by Ghulam Bhik Nairang. Read famous Poem Mere Pahlu Se Jo Nikle Wo Meri Jaan Ho Kar for youth and Student by Ghulam Bhik Nairang. Free Download Mere Pahlu Se Jo Nikle Wo Meri Jaan Ho Kar in PDF.