Kabhi Surat Jo Mujhe Aa Ke Dikha Jate Ho
kabhi surat jo mujhe aa ke dikha jate ho
din meri zist ke kuchh aur baDha jate ho
ek jhalak tum jo lab-e-baam dikha jate ho
dil pe ek kaundti bijli si gira jate ho
mere pahlu mein tum aao ye kahan mere nasib
ye bhi kya kam hai tasawwur mein to aa jate ho
taza kar jate ho tum dil mein purani yaaden
KHwab-e-shirin se tamanna ko jaga jate ho
itni hum ko bhi dikhate ho masiha-nafasi
hasrat-e-murda ko aa aa ke jila jate ho
nigah-e-lutf mein jadu hai tumhaari jaanan
sare shikwe-gile ek pal mein bhula jate ho
shola-e-tur se tu wadi-e-aiman hi jala
tum jahan aate ho ek aag laga jate ho
hai to 'nairang' wahi ishq ka rona-dhona
inhi baaton mein naya rang dikha jate ho
(935) Peoples Rate This