Purane Jute
gardish-e-aflak ke mare hue jute tamam
ek saDak ke moD par rakkhe the ba-sad-ehtimam
un pe TuTe paD rahe the muflisan-e-KHas-o-am
main ne bhi gardan baDha ke puchhe un mein ek ke dam
bola muddat-baad in juton ka ab uTTha hai pal
aur in juton mein har juta hai aap apni misal
ek juta un mein tha jo tajrabon ka shahkar
aur kisi bhage hue angrez ki thi yaadgar
bola main is des mein chalta raha hun bar-bar
hindu aur muslim hain ab tak mere afsun ka shikar
painT walon mein abhi tak meri waqat hai wahi
qadar-e-gauhar-shah danad ya ba-dana-jauhri
un mein ek tagDa sa juta ek Dsp ka tha
umr bhar jo be-gunahon ke saron par tha chala
kitni kitni rishwaten sahab ko tha khilwa chuka
jism go be jaan tha lekin tale ka tha kaDa
main ne das aane lagae is pe bola o-saKHi
sat pushton ne teri pahna tha ye juta kabhi
saindil ek barmi paDi thi us jagah msatana-war
is tarah rakkhi hui thi jaise patton mein anar
ye kisi college ki laDki ki rahi thi gham-gusar
naujawan ushshaq ke jazbe the us ke zer-e-bar
bola mein ye aap ki Thokar mein hain kya KHal-KHal
boli ye hain naujawan ushshaq ki chandiya ke baal
shaiKH ghesu karke ek mochi se pahle saz-baz
umr mein pahle-pahal masjid gae paDhne namaz
darmiyan mein toD kar ye apni niyat hila-saz
jhaD lae ek chappal jo thi be-had dil-nawaz
ye jawan chappal thi apne haal par wan nauha-KHwan
aur miyan ghesu ki thi iman ki ratb-ul-lisan
(1788) Peoples Rate This