Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2a89aaa48213f8b7dc8058ac85d00112, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Abhi Aaina Muzmahil Hai - Ghufran Amjad Poetry In English - Darsaal

Abhi Aaina Muzmahil Hai

abhi

kuchh KHarashen hain chehre pe mere

abhi waqt ke

saKHt naKHun ki yaaden

satati hain mujh ko Daraati hain mujh ko

miyan

mom KHwabon ki mere pighalti na kaise

meri samt suraj uchhaala gaya tha

main shoalon ki daldal mein dhansne laga tha

mere dast-o-pa sab jhulasne lage the

bahut shor mujh mein uTha tha

har ek shai samaat se KHali

mujhe ghurti thi

nazar mein koi rasta hi nahin tha

kisi se koi wasta hi nahin tha

achanak kisi ne pukara tha mujh ko

uTho subh hone lagi hai

saba bagh mein rang bone lagi hai

hawa ke dariche mahakne lage hain

manazir faza ke chamakne lage hain

magar ye sadaqat hai 'amjad'

abhi kuchh KHarashen hain chehre pe mere

abhi aaina muzmahil hai

abhi aaina muzmahil hai

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Aaina Muzmahil Hai In English By Famous Poet Ghufran Amjad. Abhi Aaina Muzmahil Hai is written by Ghufran Amjad. Read famous Poem Abhi Aaina Muzmahil Hai for youth and Student by Ghufran Amjad. Free Download Abhi Aaina Muzmahil Hai in PDF.