Ajab Tha Zoam Ki Bazm-e-aza Sajaenge
ajab tha zoam ki bazm-e-aza sajaenge
mere harif lahu ke diye jalaenge
main tajrabon ki aziyyat kise kise samjhaun
ki tere baad bhi mujh par azab aaenge
bas ek sajda-e-tazim ke taqabul mein
kahan kahan wo jabin-e-talab jhukaenge
atash atash ki sadaen uThi samundar se
to dasht-e-pyas ke chashme kahan lagaenge
chhupa ke rakh to liya hai sharar-e-bu-lahbi
dhuan uTha to nazar tak mila na paenge
daraaz karte raho dast-e-haq-shanas apna
bahut hua to wo neze pe sar uThaenge
nawah-e-lafz-o-maani mein gunj hai kis ki
koi batae ye 'amjad' ki hum bataenge
(764) Peoples Rate This