Tera Mai-KHwar KHush-aghaz-o-KHush-anjam Hai Saqi
tera mai-KHwar KHush-aghaz-o-KHush-anjam hai saqi
ki dil mein yaad teri lab pe tera nam hai saqi
muhit daur-e-saghar charKH-e-nili-fam hai saqi
ghulam-e-chashm-e-maigun gardish-e-ayyam hai saqi
dil-e-nakaam ko ulfat se teri kaam hai saqi
mohabbat be-niyaz-e-ibrat-e-anjam hai saqi
zamane se alag ho kar mujhe duniya-e-ulfat mein
tera ruKH roz-e-raushan zulf teri sham hai saqi
isi mein aa gai hai khinch ke saqi ruh taqwa ki
mata-e-din-o-iman qimat-e-ik-jam hai saqi
KHuda rakkhe teri zulf-e-moambar ke tasawwur se
taKHayyul mera ambar-biz-o-ambar-fam hai saqi
KHudara is taraf bhi ek nigah-e-lutf ho jae
meri hasti hama hasrat hama aalam hai saqi
hue hain dil pe is se munkashif asrar hasti ke
nawa-e-qulqul-e-mina mujhe ilham hai saqi
sharaf teri ghulami ka baDi mushkil se milta hai
zahe-qismat jo tera banda-e-be-dam hai saqi
azal se ta-abad yunhi rahega KHak-e-mai-KHana
'ghubar'-e-KHasta-o-nakaam jis ka nam hai saqi
(857) Peoples Rate This