Ajab Inqalab Ka Daur Hai Ki Har Ek Samt Fishaar Hai
ajab inqalab ka daur hai ki har ek samt fishaar hai
na kahin KHirad ko sukun hai na kahin junun ko qarar hai
kahin garm bazm-e-habib hai kahin sard mahfil-e-yar hai
kahin ibtida-e-surur hai kahin intiha-e-KHumar hai
mera dil hai sine mein raushni isi raushni pe madar hai
main musafir-e-rah-e-ishq hun to ye shama rah-guzar hai
jise kahte hain teri anjuman ajab anjuman hai ye anjuman
koi is mein soKHta-haal hai koi is mein sina-figar hai
ye asar hai ek nigah ka ki mizaj-e-taba badal diya
jo hamesha shikwa-guzar tha wo tumhaara shukr-guzar hai
ye zaruri kya hai ki har bashar rahe nam-o-kaam se ba-KHabar
magar itna jaan chuke hain sab ki taKHallus us ka 'ghubar' hai
(732) Peoples Rate This