Qalb-o-nazar Ke Silsile Meri Nigah Mein Rahe
qalb-o-nazar ke silsile meri nigah mein rahe
mujh se qarib-tar na the jo teri chah mein rahe
qahr-e-KHuda ki zad pe kyun aa na sake siyahkar
kis ki supurdagi mein the kis ki panah mein rahe
surat-e-haal dekh kar sab ko hai fikr ye ki ab
jism aman mein ho na ho kaj to kulah mein rahe
dar-o-rasan ke faisle sach ke amin hon agar
thoDi si jurat-e-suKHan harf-e-gawah mein rahe
koi sabab to tha ki 'ghaus' fahm-o-zaka ke bawajud
kar-e-sawab chhoD kar kar-e-gunah mein rahe
(820) Peoples Rate This