Hijrat
wo aaghosh jis mein pale
aur pal kar jawan hum hue hain
use chhoDne ki tadabir karne mein masruf aise hue hain
ki zindan se qaidi rihai ki rahon ki
tamir karne mein mashghul hote hain jaise
wo aaghosh jis mein jawan hum hue hain
use chhoD kar dur jaane ke ehsas se
jo KHushi mil rahi hai
kisi bhi tarah is se kamtar nahin hai
jo zindan se bahar nikalne mein mahsus hoti hai zindaniyon ko
KHush ka ye ehsas
aisa nahin ki faqat ek hum tak hi mahdud ho
ye KHushi ghar ke diwar-o-dar mein bhi ghar kar gai hai
man bahan bap bhai bhi gardan uThae hue
apne ham-sayon se kahte phirte nazar aa rahe hain
ki mera qamar bhi arab ja raha hai
sharik-e-safar ki ragon mein bhi KHushiyan uchhalne lagi hain
wo raaton ki sab lazzaten bhul kar
jaane wale ki taiyariyon mein
baDe chaw se munhamik ho gai hai
ajab jaan-fiza hai ye hijrat ka manzar
magar ye riwayat hai
makke se yasrib ko jate hue
mustafa aur sare sahabi bahut ro rahe the
watan ki mohabbat inhen rokti thi
judai jigar mein tabar bhaunkti thi
wo hijrat ka manzar baDa jaan-gusil tha
magar aaj hijrat ka manzar badal sa gaya hai
ye manzar to sach-much baDa jaan-fiza hai
magar aisa kyun hua hai
yahan to mazalim ki wo saKHtiyan bhi nahin hain
(1546) Peoples Rate This