Nae Aadmi Ka Confession
kabhi ye bhi KHwahish pareshan karti hai mujh ko
ki main apne bhitar ke main ko nikalun
magar mere main ki to surat bahut hi buri hai
KHabasat ka ambar jis mein nihan hai
sarafa se jis ki karahat ayan hai
jabin par KHatarnak sochon ke jangal uge hain
bhayanak iradon ke wahshi chhupe hain
nigahon mein jis ki hawasnakiyon ke manazir bhare hain
manazir bhi aise ki jin mein
zina aise logon ke hamrah karne ko socha gaya hai
badan jin ke jinsi bulughat ko pahunche nahin hain
ya wo jo bulughat ki sari kashish kho chuke hain
ya wo jin se koi muqaddas sa rishta juDa hai
mere main ki surat buri hai
ki dandan darindon ki surat
kisi sahme simTe kunware badan mein gaDe hain
ki matam-kade mein bhi aankhen kisi jism ki burjiyon par Tiki hain
ki biwi baghal mein magar zehn mein aur hi koi tan-man khila hai
ki pagli bhikaran ke tan aur andhe bhikari ke kashkol par bhi nazar hai
buri hai bahut hi buri hai
ki dil mein aizza ki amwat ki KHwahishen bhi dabi hain
kai be-gunah gardanen ungliyon mein phansi hain
ki lafz-e-ayaadat mein bimar ki maut ki bhi dua hai
buri hai buri hai
ki ahbab ki jit par dil dukhi hai
ki aulad ki bartari se chubhan hai
ki bhai ke raushan jahan se jabin par shikan hai
buri hai buri hai
ki jo palta hai usi ki nafi hai
ki jo pujta hai usi se dagha hai
ajab ubaD-khabaD si main ki zamin hai
ki us mein kahin bhi tawazun nahin hai
kisi bhi tarah ka tanasub nahin hai
jahan chahiye hausla buzdili hai
jahan rasti ki zarurat kaji hai
jahan chahiye aman ghaarat-gari hai
jahan chahiye qurb wan fasla hai
jahan sulh-e-kul chahiye garmiyan sardiyan hain
agar mere main ki ye surat mere KHol ki bahar sath par aa gai
to zamana mujhe kya kahega
yahi soch kar apni is aarzu ke badan mein
tabar bhaunk deta hun aksar
magar ye tamanna
ki main apne bhitar ke main ko nikalun
mere dil mein rah rah ke kyun jagti hai
sabab us ka ye to nahin hai
ki main apne andar ki shaffaf makruh surat dikha kar
zamane ki aankhon mein KHud ko baDa dekhna chahta hun
ya ye ki musalsal sharafat ke naTak se tang aa chuka hun
ya phir ye ki ab
bahari shakl-o-surat mein meri
kashish koi
baqi
nahin hai
(1580) Peoples Rate This