Maha-bhaarat
bin-laden
Tora-bora mein hota
to aisi mahshari mar
jis se
pahaD surma ban gae
zamin rakh ho gai
aasman siyah paD gaya
kab ka KHatm ho chuka hota
magar kurra-e-arz par jagah jagah
haibatnak aatishin phunkaren
karbnak dil-doz chiKHen
is haqiqat ki ghammaz hain
ki bin-laden
mera nahin
zinda hai
ye phunkaren aur chiKHen
is baat ki bhi dalil hain
ki laden
Tora-bora ke alawa
dusre KHitton mein bhi maujud hai
sawal ye hai ki
laden KHatm kyun nahin hua
kya wo waqai itna zabardast hai
ki sare jahan ki majmui taqat bhi
us ke aage hech hai
kya us ne aab-e-hayat pi li hai
ki kabhi mar nahin sakta
kya wo qafas bin gaya hai
ki apni KHakistar se phir paida ho jata hai
kya wo shud sikandari hai
ki yajuj-majuj ki zabanen
use puri tarah chaT nahin patin
kya wo rawan hai
ki us ka ek sar afghanistan mein
to baqi nau dusre jahan mein
aur kya us ne koi wardan pa liya hai
ki sar kaT kar phir dhaD se aa lagta hai
kya wo bhisham-pitama hai
ki apni achchha ke baghair mar nahin sakta
kya us ne apna clone bana liya hai
ki us ka KHatma na-mumkin ho gaya hai
sawal ye bhi hai
ki mizailon ka nishana chuk kyun jata hai
kya un ke purze Dhile hain
ki wo apna tawazun kho baiThti hain
be-samti ka shikar ho jati hain
kya wo andhi hain
ki bin laden ko dekh nahin patin
kya un ki binai kamzor hai
ki wo laden aur ghair-laden mein tamiz nahin kar patin
bin laden koi sach to nahin
ki shakuni ki chaal us ke aage nakaam ho jae
wo laksha girah se bach kar nikal jae
agyat-bass se wapas aa jae
us ka chir-haran na ho sake
tiron ki shayya par zinda rah jae
kahin aisa to nahin
ki missilen use marna hi nahin chahatin
agar aisa hai
to ye mahshari mar
kis ke liye
ye musalsal yalghaar
kyun
hairan-o-pareshan arjun
krukshetra mein chiKHta phir raha hai
magar aaj ki maha-bhaarat mein
in sawalon ka jawab dene wala
koi kirshn nahin
koi kirshn nahin
(1329) Peoples Rate This