Patthar
main ek masum shahri tha
sharafat se sabhi ke sath rahta tha
mohazzab taur se jita tha
sab ke kaam aata tha
kabhi main ne kisi ka dil nahin toDa
kisi ka sar nahin phoDa
kisi tarkash se koi tir kya tinka nahin chhoDa
kisi ki piTh mein KHanjar nahin bhonka
kisi ke jism par barud ka gola nahin phenka
kisi ko aag mein main ne nahin jhonka
kisi ka haq nahin mara
kisi ka zar nahin luTa
koi KHirman nahin phunka
kisi building kisi gaDi kisi mahfil mein koi bam nahin rakkha
mere hathon kisi ka ghar nahin ujDa
kisi ka dar nahin ukhDa
koi kumba nahin bikhra
koi matha nahin sikuDa
kisi ki rah mein roDa nahin aTka
kisi ke kaam mein main ne kabhi raKHna nahin Dala
kisi ke waste dil mein kabhi kina nahin pala
koi farman hakim ka kabhi main ne nahin Tala
koi ghera nahin langha
koi aangan nahin phanda
magar phir bhi qayamat mujh pe TuTi hai
ajab ghaarat-gari ka qahr barsa hai
ajab saffak KHanjar dil mein utra hai
ki meri ruh ab tak tilmilati hai
ki mera zehn ab bhi jhunjhunata hai
ki meri sans ab bhi laDkhaDati hai
samajh mein kuchh nahin aata
ki main ne kya bigaDa hai
mere kis jurm ki mujh ko mili hai
ye saza aaKHir
ye gutthi kis tarah kholun
sabab kis se yahan puchhun
kidhar jaun
kise rokun
sabhi chehre yahan patthar
sabhi aankhen yahan patthar
basarat mein bhara patthar
samaat mein basa patthar
zabanon mein gaDa patthar
adalat mein khaDa patthar
har ek qanun mein patthar
har ek aain mein patthar
har ek insaf mein patthar
har ek aawaz mein patthar
har ek ehsas mein patthar
ye patthar yug ke patthar se bhi bhaari hai
nagine ki tarah tarsha hua hai
aur hire ki ani ki tarah us ki tez noken hain
bahut shaffaf hai ye aur is mein ek tamaddun hai
main is patthar se sar phoDun
ki apni zindagi chhoDun
ki apna rasta moDun
ki ban jaun main KHud patthar
samajh mein kuchh nahin aata
(781) Peoples Rate This