Ye Tamanna Nahin Ki Mar Jaen
ye tamanna nahin ki mar jaen
zinda rahne magar kidhar jaen
aisi dahshat ki apne sayon ko
log dushman samajh ke Dar jaen
wo jo puchhe to dil ko Dhaaras ho
wo jo dekhe to zaKHm bhar jaen
bach ke duniya se ghar chale aae
ghar se bachne magar kidhar jaen
ek KHwahish hai jism se mere
jald se jald baal-o-par jaen
ab ke lamba bahut safar in ka
in parindon ke par katar jaen
sochte hi rahenge hum shayad
wo balaen to un ke ghar jaen
(866) Peoples Rate This