Yaqin Jaaniye IsMein Koi Karamat Hai
yaqin jaaniye is mein koi karamat hai
jo is dhuen mein meri sans bhi salamat hai
nazar bhi haal mere dil ka kah nahin pati
zaban ki tarah meri aankh mein bhi luknat hai
jo ho raha hai use dekhte raho chup chap
yahi sukun se jine ki ek surat hai
main us ke jhuT ko bhi sach samajh ke sunta hun
ki us ke jhuT mein bhi zindagi ki quwwat hai
ye kis ki aankh Tiki hai udas manzar par
ye kaun hai ki jise dekhne ki fursat hai
koi baid nahin ye bhi ishtihaar chhape
hamare shahr mein jallad ki zarurat hai
sipar tamam badan ke hawas Dal chuke
bas ek aankh hai jis mein abhi baghawat hai
dil-o-dimagh mein rishta nahin jahan koi
ek aise jism mein jina hamari qismat hai
kahin bhi jaen sazaen hamein hi milni hain
adalaton ki hamari ajib hikmat hai
hamare bich ye uqda na khul saka ab tak
kise visal kise hijr ki zarurat hai
usi ko saunp diya hum ne munsifi ki zamam
ki jis ke KHwab mein bhi aks-e-ghasbiyyat hai
(1071) Peoples Rate This