Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_05f595926ba26ed55633cab201d8b23d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tez Hoti Ja Rahi Hai Kis Liye DhaDkan Meri - Ghazanfar Poetry In English - Darsaal

Tez Hoti Ja Rahi Hai Kis Liye DhaDkan Meri

tez hoti ja rahi hai kis liye dhaDkan meri

ho rahi hai rafta rafta aankh bhi raushan meri

zehn ke KHanon mein jaane waqt ne kya bhar diya

be-sabab hone lagi ek ek se an-ban meri

jaise jaise gutthiyon ki Dor hath aati gai

kuchh isi raftar se baDhti gai uljhan meri

aisa lagta hai ki meri sans phir ghuT jaegi

phir ana ki nok par uThne lagi gardan meri

kya koi saya tulu hone laga hai phir idhar

phir se kyun hone lagi hai dudhiya chilman meri

(947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tez Hoti Ja Rahi Hai Kis Liye DhaDkan Meri In English By Famous Poet Ghazanfar. Tez Hoti Ja Rahi Hai Kis Liye DhaDkan Meri is written by Ghazanfar. Read famous Poem Tez Hoti Ja Rahi Hai Kis Liye DhaDkan Meri for youth and Student by Ghazanfar. Free Download Tez Hoti Ja Rahi Hai Kis Liye DhaDkan Meri in PDF.