Saja Ke Zehn Mein Kitne Hi KHwab Soe The
saja ke zehn mein kitne hi KHwab soe the
khuli jo aankh to KHud se lipaT ke roe the
chahaar samt bas ek be-karan samundar hai
bataen kya ki safine kahan Duboe the
tahon mein ret ubalti hai kya pata tha hamein
zamin samajh ke zaminon mein bij boe the
siyah raat mein bachche ki tarah chaunk paDe
tamam din jo ujalon se lag ke soe the
ajib baat hamara hi KHun hua pani
hamin ne aag mein apne badan bhigoe the
hamare hath se wo bhi nikal gaya aaKHir
ki jis KHayal mein hum muddaton se khoe the
(874) Peoples Rate This