Rafta Rafta Aankhon Ko Hairani De Kar Jaega
rafta rafta aankhon ko hairani de kar jaega
KHwabon ka ye shauq hamein virani de kar jaega
dekh ke sar par gahra baadal KHushk nigahen kahti hain
aaj hamein ye abr yaqinan pani de kar jaega
kuchh Thahraw to be-shak us se mere ghar mein aaya hai
lekin ek din mujh ko wo tughyani de kar jaega
aaega to ek do pal mehman rahega aankhon mein
jaega to ek qissa tulani de kar jaega
kaghaz ke ye phul bhi apne chehron ko faq paenge
ab ke mausam in ko bhi hairani de kar jaega
KHush-manzar pe aankh jamae baiThe hain ki lagta hai
rang koi be-rang nazar ko dhani de kar jaega
(876) Peoples Rate This