Kisi Ke Narm TaKHatub Pe Yun Laga Mujhko
kisi ke narm taKHatub pe yun laga mujh ko
ki jaise sare masail ka hal mila mujh ko
kisi maqam pe wo bhi bichhaD gai mujh se
nigah-e-shauq jo deti thi hausla mujh ko
ki ham-safar ko samajhne laga KHizar apna
zaruraton ne kuchh aisa safar diya mujh ko
tamam log hi dushman dikhai dete hain
koi batae ki aaKHir ye kya hua mujh ko
main teri car ka ukhDa hua koi purza
sukun talab hai to meri jagah pe la mujh ko
mera wajud bhi qaqnus se kam nahin hai miyan
yaqin na aae to puri tarah jala mujh ko
main aisa narm tabiat kabhi na tha pahle
zarur lams koi us ka chhu gaya mujh ko
main chah kar bhi tujhe qatl kar na paunga
ye kis ka de diya tu ne bhi wasta mujh ko
(887) Peoples Rate This