Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_680f85104b5237993532de58efda3cc3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kai Aise Bhi Raste Mein Hamare MoD Aate Hain - Ghazanfar Poetry In English - Darsaal

Kai Aise Bhi Raste Mein Hamare MoD Aate Hain

kai aise bhi raste mein hamare moD aate hain

ki ghar aate hue apne ko akasr chhoD aate hain

hamein rishton se kya matlub hai aaKHir ki rozana

kisi se toD aate hain kisi se joD aate hain

na jaane kis tarah bistar mein ghus kar baiTh jati hain

wo aawazen jinhen hum roz bahar chhoD aate hain

koi to maslahat hogi ki hum KHamosh baiThe hain

hamein bhi warna un ke ToTkon ke toD aate hain

chubhan sahte hain un ki par unhen khulne nahin dete

hamare darmiyan aise bhi kuchh gaThjoD aate hain

(875) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kai Aise Bhi Raste Mein Hamare MoD Aate Hain In English By Famous Poet Ghazanfar. Kai Aise Bhi Raste Mein Hamare MoD Aate Hain is written by Ghazanfar. Read famous Poem Kai Aise Bhi Raste Mein Hamare MoD Aate Hain for youth and Student by Ghazanfar. Free Download Kai Aise Bhi Raste Mein Hamare MoD Aate Hain in PDF.