Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7c18862a514e0442da9df341bbfca7ee, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dard Ki Kaun Si Manzil Se Guzarte Honge - Ghazanfar Poetry In English - Darsaal

Dard Ki Kaun Si Manzil Se Guzarte Honge

dard ki kaun si manzil se guzarte honge

KHwab ke panw zaminon pe utarte honge

hum ki marbut hue aur shikasta ho kar

TuT kar kaise bhala log bikharte honge

hum ki sahil ke tasawwur se sahm jate hain

log kis tarah samundar mein utarte honge

jaane kya sochti hongi wo andheri raaten

chand jab un ki nigahon mein ubharte honge

tum jhulaste ho chaTanon pe magar jaane do

kitne hi log makanon mein sanwarte honge

(940) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dard Ki Kaun Si Manzil Se Guzarte Honge In English By Famous Poet Ghazanfar. Dard Ki Kaun Si Manzil Se Guzarte Honge is written by Ghazanfar. Read famous Poem Dard Ki Kaun Si Manzil Se Guzarte Honge for youth and Student by Ghazanfar. Free Download Dard Ki Kaun Si Manzil Se Guzarte Honge in PDF.