Apni Nazar Mein Bhi To Wo Apna Nahin Raha
apni nazar mein bhi to wo apna nahin raha
chehre pe aadmi ke hai chehra chaDha hua
manzar tha aankh bhi thi tamanna-e-did bhi
lekin kisi ne did pe pahra biTha diya
aisa karen ki sara samundar uchhal paDe
kab tak yun sath-e-ab pe dekhenge bulbula
barson se ek makan mein rahte hain sath sath
lekin hamare bich zamanon ka fasla
majma tha DugDugi thi madari bhi tha magar
hairat hai phir bhi koi tamasha nahin hua
aankhen bujhi bujhi si hain bazu thake thake
aise mein koi tir chalane ka faeda
wo be-kasi ki aankh khuli thi meri magar
zauq-e-nazar pe jabr ne pahra biTha diya
(967) Peoples Rate This