Be-chehragi-e-umr-e-KHajalat Bhi Bahut Hai
be-chehragi-e-umr-e-KHajalat bhi bahut hai
is dasht mein gardab ki surat bhi bahut hai
aankhen jo liye phirta hun ai KHwab-e-musalsal!
mere liye ye kar-e-aziyyat bhi bahut hai
tum zad-e-safar itna uThaoge kahan tak
asbab mein ek ranj-e-masafat bhi bahut hai
do sans bhi ho jaen baham habs-e-badan mein
ai umr-e-rawan! itni karamat bhi bahut hai
kuchh ujrat-e-hasti bhi nahin apne mutabiq
kuchh kar-e-tanaffus mein mashaqqat bhi bahut hai
ab maut mujhe mar ke kya degi 'ghazanfar'
aankhon ko to ye aalam-e-hairat bhi bahut hai
(802) Peoples Rate This