Jate Hain Wahan Se Gar Kahin Hum
jate hain wahan se gar kahin hum
hir-phir ke phir aate hain wahin hum
sad-haif ki kunj-e-be-kasi mein
koi nahin aur hain hamin hum
KHamoshi ki mohr hai dahan par
hain halqa-e-gham mein jun nagin hum
aaya na wo shoKH aur gae aah
hasrat hi bhare tah-e-zamin hum
takte rahe jaanib-e-dar ai wae
mar mar ke ba-waqt-e-wapsin hum
kya kya khinche hain aap ko dur
Tuk baiThe jo yar ke qarin hum
dekh aaina hum se puchhe the yun
sach kahiyo ki kaise hain hasin hum
qismat mein to hijr hai 'ghazanfar'
ab wo hai to aap mein nahin hum
(704) Peoples Rate This