Zamin Ke Sath Falak Ke Safar Mein Hum Bhi Hain
zamin ke sath falak ke safar mein hum bhi hain
qafas-nasib sahi baal-o-par mein hum bhi hain
wahin se luT gai raston ki tanhai
jahan pe us ne ye jaana safar mein hum bhi hain
to wo shajar jo sada barg-o-bar deta hai
misal-e-ab-e-nihan is shajar mein hum bhi hain
jise kahin se samundar ne la ke phenk diya
tumhaare sath ek aise hi ghar mein hum bhi hain
kitab the to paDhe ja sake na duniya se
lo ab charagh hue rahguzar mein hum bhi hain
KHayal aag hai shoala hai fikr lau alfaz
ye sab hunar hain to phir is hunar mein hum bhi hain
'matin' shahar bhi sahra-nazhad hai itna
ki sang-o-KHisht mein diwar-o-dar mein hum bhi hain
(901) Peoples Rate This