Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_841c4109bf31c6e09241e4f526584a15, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dhup Ka Ehsas Jaane Kyun Use Hota Nahin - Ghayas Mateen Poetry In English - Darsaal

Dhup Ka Ehsas Jaane Kyun Use Hota Nahin

dhup ka ehsas jaane kyun use hota nahin

waqt aawara hai ThanDi chhanw mein hota nahin

jhuT ki diwar se laTke hue jismon ke din

ho gae pure ki sach to shab mein bhi sota nahin

hum taka karte hain khiDki se utarte chand ko

dauD kar us ko pakaD len ye kabhi hota nahin

dil ajab patthar hai pani se pighal jae kahin

aur kabhi jo aag mein rakh dijiye rota nahin

raushni phuTe qalam ke aankh se kyun kar 'matin'

aansuon ke bij dil mein jab koi bota nahin

(663) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhup Ka Ehsas Jaane Kyun Use Hota Nahin In English By Famous Poet Ghayas Mateen. Dhup Ka Ehsas Jaane Kyun Use Hota Nahin is written by Ghayas Mateen. Read famous Poem Dhup Ka Ehsas Jaane Kyun Use Hota Nahin for youth and Student by Ghayas Mateen. Free Download Dhup Ka Ehsas Jaane Kyun Use Hota Nahin in PDF.