Aankh Ki Putli Mein Suraj Sar Mein Kuchh Sauda Uga
aankh ki putli mein suraj sar mein kuchh sauda uga
paniyon mein surKH paude dhup mein saya uga
aasman ki bhiD mein to is liye socha gaya
is zamin ki chhatiyon se nur ka chashma uga
nind mein chalne ki aadat KHwab mein likhne ka fan
ek jaisi baat hai to aatish-e-naghma uga
main ne apni donon aankhon mein ugae hain pahaD
teri aankhon mein samundar tha wahan sahra uga
sabza-e-begana ban kar ji liya to kya jiya
KHud ko bo kar is zamin se ek naya chehra uga
dhup jaise qahqahe hain ret jaisi baat hai
tu agar ghawwas hai to ret mein dariya uga
ye zamin buDhi hai us ko piTh se apni utar
aasman ko jeb mein rakh le nai duniya ka uga
hum to KHud izhaar hain apne zamane ka 'matin'
bujh gae aawaz ke shoale naya lahja uga
(639) Peoples Rate This