Pahunch Kar Shab Ki Sarhad Par Ujala Dub Jata Hai
pahunch kar shab ki sarhad par ujala Dub jata hai
na ho jis ka koi wo be-sahaara Dub jata hai
jise gata hai koi barabt-e-sad-chaak-daman par
faza-e-be-yaqini mein wo naghma Dub jata hai
yahan to dil ki baaten hain hamara tajraba hai ye
jo sath-e-ab par rakhiye to paisa Dub jata hai
talluq der se mazbut karta hai jaDen apni
zara si chuk se sadiyon ka rishta Dub jata hai
teri yaadon ki duniya se kabhi jo dur hota hun
udasi gher leti hai nazara Dub jata hai
na jaane kya ho tere shahr mein ab ja ke dekhunga
yahan to apni qismat ka sitara Dub jata hai
ubal paDta hai aafat ka kahin lawa to phir 'anjum'
gham-o-andoh mein masum chehra Dub jata hai
(684) Peoples Rate This