Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_580d2961fd9b2aa40a492400f154a927, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
LipaT Rahi Hain Jo Tujhse Duaen Meri Hain - Ghayas Anjum Poetry In English - Darsaal

LipaT Rahi Hain Jo Tujhse Duaen Meri Hain

lipaT rahi hain jo tujh se duaen meri hain

hawa ka shor nahin hai sadaen meri hain

kisi bhi rah se tum aa sako to aa jaana

ki shahr mera hai sari dishaen meri hain

uDa rahe ho yahan jin ki dhajjiyan tum bhi

ye jaan lo ki wo sari ridaen meri hain

mujhe to ganw ki miTTi hai jaan se bhi aziz

wahan ki galiyon mein kya kya adaen meri hain

tumhein to chandni ban kar faza mein ghulna hai

shab-e-siyah ki sari balaen meri hain

pahan ke jis ko hain aghyar surKH-ru 'anjum'

wo sadgi se muzayyan qabaen meri hain

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

LipaT Rahi Hain Jo Tujhse Duaen Meri Hain In English By Famous Poet Ghayas Anjum. LipaT Rahi Hain Jo Tujhse Duaen Meri Hain is written by Ghayas Anjum. Read famous Poem LipaT Rahi Hain Jo Tujhse Duaen Meri Hain for youth and Student by Ghayas Anjum. Free Download LipaT Rahi Hain Jo Tujhse Duaen Meri Hain in PDF.