KHasare Mein Rahe Lekin Na ChhoDi Sadgi Humne
KHasare mein rahe lekin na chhoDi sadgi hum ne
ba-har-surat nibhai dushmanon se dosti hum ne
salaf the jo hamare misl-e-KHurshid-o-mah-o-anjum
unhi ke raste pe chal ke pai raushni hum ne
adab ke daere ko de di wusat sare aalam ki
ki us ki aabiyari ki barae zindagi hum ne
jahan walo na mano tum magar sach hai ki duniya mein
baDhaya hai tah-e-KHanjar waqar-e-ashiqi hum ne
yahan sach bolne par zahr ka pyala hi milta hai
ajab rasm-e-sitam dekhi hai tere shahr ki hum ne
wasael jab ki sare ho chuke the be-asar 'anjum'
charagh-e-dil jala kar dur ki hai tirgi hum ne
(845) Peoples Rate This