Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0efbbd738b5fa18dc2afb7fd9a005523, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Piya KHamosh Hai Mera - Ghausiya Khan Sabeen Poetry In English - Darsaal

Piya KHamosh Hai Mera

bahut gum-sum bahut KHamosh hai

wo chand arse se

samajh mein kuchh nahin aata

ki aaKHir majra kya hai

wahi mausam wahi chahat

wahi rangat bhi phulon mein

magar ek us ki KHamoshi ne is pur-kaif mausam ko

hamare waste mausam KHizan ka bana Dala

parinde ab bhi baghon mein chahakte hain

ghaTaen ab bhi aati hain

hawaen ab bhi chalti hain

magar phir bhi masarrat dil ko kyun hasil nahin hoti

wajh ye hai

piya KHamosh hai mera

(712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Piya KHamosh Hai Mera In English By Famous Poet Ghausiya Khan Sabeen. Piya KHamosh Hai Mera is written by Ghausiya Khan Sabeen. Read famous Poem Piya KHamosh Hai Mera for youth and Student by Ghausiya Khan Sabeen. Free Download Piya KHamosh Hai Mera in PDF.