MuKHtasar Si Baat Ko Bhi Masala Kahte Rahe
muKHtasar si baat ko bhi masala kahte rahe
zindagi mein aap ko kyun rahnuma kahte rahe
be-wafa hone ka fatwa de diya un ne hamein
umr-bhar jin ke sitam ko hum wafa kahte rahe
kar diya mismar un ne ek pal mein qasr-e-dil
jin ke KHasta ghar ko bhi hum KHush-numa kahte rahe
har ghaDi har waqt har pal har jagah be-KHauf hum
wo hamare the hamare hain sada kahte rahe
dhire dhire chal diye us rah par hum bhi 'sabin'
raat-din sab jis ko gham ki karbala kahte rahe
(822) Peoples Rate This