Chal Diya Naz Zamane Ke UThane Wala
chal diya naz zamane ke uThane wala
sare ghar le gaya ghar chhoD ke jaane wala
aankh pur-nam hai yahi soch ke ahl-e-dil ki
lauT kar ab nahin aaega hansane wala
baat to karte hain sab log wafa ki lekin
kis ne dekha hai kahan par hai nibhane wala
ab pareshan sa phirta hai zamane bhar mein
zaKHm-e-dil par mere tezab lagane wala
shukr-e-rab hai meri phulon pe guzari us ne
aag pe soya hai barud bichhane wala
hum ne dekha hai shab-o-roz zamane mein 'sabin'
surKH-ru hota hai sajdon ko sajaane wala
(776) Peoples Rate This