Abhi Dekhi Kahan Hain Aapne Sab KHubiyan Meri
abhi dekhi kahan hain aap ne sab KHubiyan meri
nigahen DhunDhti hain aap ki bas KHamiyan meri
mera kirdar duniyan mein shahadat se munawwar hai
nazar aaen falak par sab ko raushan surKHiyan meri
wahan barson talak phulon ki kheti hoti rahti hai
baras jati hain jin KHitton pe ja kar badliyan meri
main har neki ko apne dushmanon mein banT deti hun
samar-awar raha karti hain is se nekiyan meri
zamana chahe jo samjhe ana ke sath zinda hun
tumhein bhi jit legi ek din ye KHubiyan meri
kisi bhi marke par ab talak haari nahin hun main
mera zewar raha hai doston KHuddariyan meri
jise tum rakh samjhe ho abhi tak aag hai us mein
kuredo mat jala degi tumhein chingariyan meri
'sabin' aksar main dastarKHawan se uTh jati hun bin khae
kisi bhuke ke kaam aa jaen shayad roTiyan meri
(828) Peoples Rate This