Aandhi Mein Bhi Charagh Magan Hai Saba Ke Sath

aandhi mein bhi charagh magan hai saba ke sath

lagta he saz-baz hui hai hawa ke sath

lab par KHuda ka nam ho dil mein watan ka dard

nikle badan se ruh meri is ada ke sath

un ko bahut ghurur tha apni jafaon par

hum bhi wahin aDe rahe apni wafa ke sath

nazren jhuka ke samne mere khaDa hai wo

sharmindagi ki apne badan par qaba ke sath

har shaKHs rashk karta hai phir aisi zat par

mar kar bhi jis ke rabt ho qaem KHuda ke sath

aaghaz bhi usi ki ziyarat ke sath ho

ho bhi safar tamam to man ki dua ke sath

ehsan tha ya hukm ki tamil thi 'sabin'

hum bi qadam qadam chale us ki raza ke sath

(961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aandhi Mein Bhi Charagh Magan Hai Saba Ke Sath In English By Famous Poet Ghausiya Khan Sabeen. Aandhi Mein Bhi Charagh Magan Hai Saba Ke Sath is written by Ghausiya Khan Sabeen. Read famous Poem Aandhi Mein Bhi Charagh Magan Hai Saba Ke Sath for youth and Student by Ghausiya Khan Sabeen. Free Download Aandhi Mein Bhi Charagh Magan Hai Saba Ke Sath in PDF.