Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d9d7f8517580d3b2de06b40e3d1ce68e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghurur-e-naz Dikha Tujh Mein Kitna Jauhar Hai - Ghaus Mohammad Ghausi Poetry In English - Darsaal

Ghurur-e-naz Dikha Tujh Mein Kitna Jauhar Hai

ghurur-e-naz dikha tujh mein kitna jauhar hai

mera KHulus bhi dariya nahin samundar hai

parakh yahi hai mohabbat ki aanch do us ko

pighal gaya to wo shisha hai warna patthar hai

KHala-naward ko yaro faraaz-e-manzil kya

ki ab to us ka har ek par bajae shahpar hai

adawaton ko fana kar diya mohabbat se

mujahide mein mohabbat hi apna KHanjar hai

subut-e-baiat-e-pir-e-haram ye hai to sahi

ki aaj tak kaf-e-dast-rasa munawwar hai

mujhe zarurat-e-ghaza nahin ki chehre par

mere zamir ka jo rang hai ujagar hai

sitara-e-sahar-asar hai jo ai 'ghausi'

ghubar-basta abhi us ka pesh-manzar hai

(706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghurur-e-naz Dikha Tujh Mein Kitna Jauhar Hai In English By Famous Poet Ghaus Mohammad Ghausi. Ghurur-e-naz Dikha Tujh Mein Kitna Jauhar Hai is written by Ghaus Mohammad Ghausi. Read famous Poem Ghurur-e-naz Dikha Tujh Mein Kitna Jauhar Hai for youth and Student by Ghaus Mohammad Ghausi. Free Download Ghurur-e-naz Dikha Tujh Mein Kitna Jauhar Hai in PDF.