SiDhiyan

chaDhti kahin kahin se utarti hain siDhiyan

jaane kahan kahan se guzarti hain siDhiyan

yaadon ke jhilmilate sitare liye hue

mazi ki kahkashan se utarti hain siDhiyan

leti hain yun safar mein musafir ka imtihan

hamwar raston pe ubharti hain siDhiyan

karti hain sar ghurur ka niche utar kar

pasti ka sar buland bhi karti hain siDhiyan

tarikiyon ko oDh ke soti hain raat-bhar

suraj ki raushni mein nikharti hain siDhiyan

hilti nahin hilae se sabit-qadam tale

mahken agar qadam to bahakti hain siDhiyan

mimbar pe chaDh ke baiThti hain waizon ke sath

rindon se chheD-chhaD bhi karti hain siDhiyan

jab koi haal puchhne aae na muddaton

andar se TuT-phuT ke marti hain siDhiyan

yaadon ke phunk phunk ke rakhne paDe qadam

zaKHmon se dil ke jab bhi sanwarti hain siDhiyan

leti hain baDh ke sab ke qadam to laga mujhe

tanhai ke azab se Darti hain siDhiyan

yun dil mein teri baat utarti hai 'KHwah-maKHwah'

gahre kuen mein jaise utarti hain siDhiyan

(1846) Peoples Rate This

Ghaus Khah Makhah Hyderabadi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

SiDhiyan In English By Famous Poet Ghaus Khah Makhah Hyderabadi. SiDhiyan is written by Ghaus Khah Makhah Hyderabadi. Read famous Poem SiDhiyan for youth and Student by Ghaus Khah Makhah Hyderabadi. Free Download SiDhiyan in PDF.