Tumhein KHabar Bhi Hai Ye Tumne Kis Se Kya Manga
tumhein KHabar bhi hai ye tum ne kis se kya manga
bhanwar mein Dubne walon se aasra manga
sune jo mere azaem to aazmane ko
hawa se barq ne ghar ka mere pata manga
KHud apni rah banata gaya pahaDon mein
kabhi kahan kisi dariya ne rasta manga
jo aap apne andheron se bad-hawas hui
shab-e-siyah ne ghabra ke ek diya manga
kahin bhi ho koi neki barae neki ho
wahin pe ho gai zaea agar sila manga
KHuda ki den ke mohtaj-e-bandagan-e-KHuda
ye kya ki mangne walon se ja-ba-ja manga
hamein jo ishq mein hona tha surKH-ru 'ejaz'
to hum ne jaan-e-hazin qalb-e-mubtala manga
(940) Peoples Rate This