Tir Jaise Kaman Se Nikla
tir jaise kaman se nikla
harf-e-haq tha zaban se nikla
qaid-e-hasti se chhuTne wala
waqt ke imtihan se nikla
Tik na paya hawa ke jhonkon mein
par shikasta uDan se nikla
sher aaya kachhaar se bahar
aur shoala machan se nikla
gham wo kanTa ki aaKHiri dam tak
dil ko chhoDa na jaan se nikla
jab ajal jhankti phiri ghar ghar
kaun zinda makan se nikla
zulmaton ka safir tha kya tha
saya ek saeban se nikla
maslahat rokti rahi 'ejaz'
tha jo dil mein zaban se nikla
(1024) Peoples Rate This