Thakan Ghaalib Hai Dam TuTe Hue Hain
thakan ghaalib hai dam TuTe hue hain
safar jari qadam TuTe hue hain
ba-zahir to hain salim jism-o-jaan se
magar andar se hum TuTe hue hain
adhure hain yahan sare ke sare
sabhi to besh-o-kam TuTe hue hain
bura ho e'timad-e-bahami ka
ki sab qaul-o-qasam TuTe hue hain
talluq TuTne ko hai jahan se
chalo ki band-e-gham TuTe hue hain
KHuda ka ghar na baKHsha zalimon ne
kai dair-o-haram TuTe hue hain
unhen munsif nahin qatil kaho tum
ki sab un ke qalam TuTe hue hain
(843) Peoples Rate This