Junun Mein Der Se KHud Ko Pukarta Hun Main
junun mein der se KHud ko pukarta hun main
jo gham hai daman-e-sahra mein wo sada hun main
badal gaya hai zamana badal gaya hun main
ab apni samt bhi hairat se dekhta hun main
hayat ek saza hai bhagat raha hun main
dar-e-qubul se lauTi hui dua hun main
jise KHud aap hi apne pe pyar aa jae
jafa ke daur mein wo laghzish-e-wafa hun main
jamal-e-yar ki ranaiyan maaz-allah
nigah ban ke nazaron mein kho gaya hun main
bas ek jumbish-e-lab tak wajud hai jis ka
zaban-e-shauq pe wo harf-e-muddaa hun main
agar hai jurm mohabbat to phir takalluf kya
madar-e-jurm hun taqsir hun KHata hun main
rafaqaton ke ye fanus ta-ba-kai 'ejaz'
hawa ki zad pe larazta hua diya hun main
(823) Peoples Rate This